Tanha Aur Akele






Zindagi ki taalash me hum jo mile the unse
Bhul kar kuch kisse kahe un kahe wafa k is duniya se
Jin raaho par chale the woh kbi mera haath thaam kar
Aaj unhi raastoon pe khade hai hum tanha aur akele

Khushi aur jaan humari basti thi jin me

Khamosh aur Naraz wohi ho gaye hai aaj humse
Umid ki roshni ke diye ko jalaya tha jahan humne
Aaj unhi raastoon pe khade hai hum tanha aur akele


Na samjh the hum ye maante hai hum ab bhi
Kar baithe kuch aisa ke badal he gaye woh bhi
Smjhana mujhe aadat thi jin ki ho gaye dur aaj woh bhi ki
Aaj unhi raastoon pe khade hai hum tanha aur akele

Aaye the kuch haaseen yaadein jo sanjone hum
Dillagi jo kar baithe the unki baatoon se jo hum
Ro rha hai ye aasmaan bhi mere saath aaj kyunki
Aaj unhi raaston pe khade hai hum tanha aur akele

Humari baaton ko galat smjh jo baithe hai woh
Kaise kehe unse ki kuch aur soch baithe hai woh
Dil pe haath rkh ke woh punch le khud se kya sahi hai woh aur
Aaj unhi raaston pe khade hai hum tanha aur akele

Pareshan krna nhi hai fitrat humari
pyaar se he hai ye duniya humari
Ja rhe hai hum khud he ab itne dur ki khoj na ho sake humari aur
Mahadev ki kasam ab dil na lagayenge hum kyunki
Aaj unhi raaston pe khade hai hum tanha aur akele....


#Rony




ALL RIGHTS RESERVED. This blog is of original works of RONY SRIVASTAVA. Any unauthorized reprint or use of this material is prohibited. No part of my poems may be reproduced or transmitted in any form or by any means, electronic or mechanical, including photocopying, recording, or by any information storage and retrieval system without express written permission from the author / publisher. If found guilty serious legal actions will be taken against them.

Popular posts from this blog

Mujhe Shayar Bana Diya..

Tu Nahi Toh Koi Aur Sahi...

Pariyon Ki Rani Hai Woh...