Manzil Hai Teri...








Ummido ke shikhar par bas ek udaan hai meri
paas ho ke bhi jo dur hai yehi Aashiqui hai meri
Kya haansil kr paunga use jo chahat hai meri
Krta hu jab bhi ye sawaal khud se toh kehti hai zindagi meri
Mat puch tu raahi kya manzil hai teri...



Duniya se bhut dur kahin is viraane me
Kat rahi hai ye zindagi meri bas tere afsaane me
Hai junoon tu mera ye jaante hai ye log sabhi
Krta hu jab bhi ye sawaal khud se toh kehti hai zindagi meri
Mat puch tu raahi kya manzil hai teri...


Karna bhi hai aaj kuch sapno ko pura mujhe
Umide jo ki thi mere apno ne sada mujse
Roshan krna hai mujhe ab saansar ko ujala banke Lekin
Krta hu jab bhi ye sawaal khud se toh kehti hai zindagi meri
Mat puch tu raahi kya manzil hai teri...


Yadoon ki doli me sazi hai aaj tu dulhan ban k
Laut aayi hai sab khushiyaan meri fir aaj muskaan ban k
chahte the jise kbi hum sapno me he kahin sapna ban k
Ye shaam suhaani fir aaj unhi k duare humari baraat layi hai Par
Krta hu jab bhi ye sawaal khud se toh kehti hai zindagi meri
Mat puch tu raahi kya manzil hai teri...


#Rony




ALL RIGHTS RESERVED. This blog is of original works of RONY SRIVASTAVA. Any unauthorized reprint or use of this material is prohibited. No part of my poems may be reproduced or transmitted in any form or by any means, electronic or mechanical, including photocopying, recording, or by any information storage and retrieval system without express written permission from the author / publisher. If found guilty serious legal actions will be taken against them.

Popular posts from this blog

Mujhe Shayar Bana Diya..

Tu Nahi Toh Koi Aur Sahi...

Pariyon Ki Rani Hai Woh...