Posts

Manzile Meri Aasma Hai...

Image
We Will Strike Hard And Deep As And When Required...For Enemies With Love !!!                                                                                           - Indian Air Force Khatron Se Khelna Mera Kaam Hai Hauslon Ne Likhi Ye Dastaan Hai Sarhadon Ki Raksha Ko Main Tatpar Manzile Meri Aasma Hai... Bandishon Me Nahi Mujhe Rehna Hai Raftaar Ki Nahi Koi Seema Hai Dhvast Karungi Thikane Aatanki Main Bhi Manzile Meri  Aasma Hai... Muskile Deti Mujhe Prerna Hai Abhi Toh Bahut Mujhe Sikhna Hai Jeetungi Dil Sabka Main Shaurya Se Manzile Meri Aasma Hai... #Rony

Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa

Image
Lets Pledge To Contribute Something Towards PM - CARES FUND and FIGHT AGAINST #CORONA #I Donated My One Day Salary Towards PM CARES FUND...What About U??? BEING HUMAN IS GIVEN BUT KEEPING OUR HUMANITY IS A CHOICE    Chup Kyon Baithe Ho Tum Bhi Kuch Karo Naa Mushkil Ki Is Ghadi Mein Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa Drishya Bhayankar Naa Ho Jaye Social Distancing Follow Karo Naa Zarurat Hai Hume Dhan Kuberoon Ki Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa Pradhan Mantri Ni Ki Hai Vinti Unke Aagrah Ko Zara Samjhona Kami Hai Sansadhano Ki Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa  Manzil Ko Nikale Log Hai Kasht Me Tum Un Sabki Majburi Samjhona Umeed Hai Unhe Madad Ki Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa   Ek Ho Kar He Sab Badlega Tum Ye Baat Meri Samjhona Corona Ke Khatme Me  Tum Bhi Kuch Sahyog Karo Naa   #Rony    

SHIKSHA KA MAHATVA

Image
 PLZ SPREAD AWARENESS ON CORONA VIRUS AND MAINTAIN SOCIAL DISTANCING TO DEFEAT THIS MENANCE... SHIKSHA EK VARDAAN HAI HAR MUSHKIL KA SAMADHAN HAI SAMJHA JO MAHATVA ISKA MILA USE HE SAMMAN HAI... SHIKSHA BAHUT HE AAVSHAK HAI AVGUNO KI YEH NASHAK HAI SAMJHA JO REHSYA YEH GEHRA BANA WOH HE NAYAK HAI... ADHIKARO SE PEHCHAN KARATI NIYAMO KA YEH ANUPALAN SHIKSHA HE LA SAKTI HAI DESH ME ANUSHASHAN... ASHIKSHIT KO SHIKSHIT KARTI AGYAANI KO DETI YEH GYAAN SHISHA HAI MATR WOH SADHAN JIS SE BANEGA BHARAT MAHAN... #Rony

Kadam Kadam Tu Chalta Jaa

Image
The Best time For A New Beginning Is Now... SiKha Deti hai Galtiya Bhi Woh Sabhi Sikhati Nhi Hai Zindagi Jo Kabhi Wajood Pe Baat Aati Hai Jab Bhi Karti Hai Ye Sabit Sab Khud He... Muqaddar Nhi Sirf Saath Nibhata Yeh Insaan Hai Jo Sab Banata Tut Ti Umeedo me Bhi Hai Kayam Usme Hosla Hai Yeh Jo Vishwas Hai Jagata... Kadam Kadam Tu Chalta Jaa Naa Dekh Peeche Tu Aage Badhta Jaa Fikar Naa Kar Tu Mushkiloon Ki Dhereya Aur Sahas Se Parcham Lahrata Jaa... # Rony

Dedicated To Braveheart Sqn Ldr Sameer Abrol

Image
FROM THE DIARY OF AN AVIATOR Dedicated To Braveheart Sqn Ldr Sameer Abrol "The Harder The Battle The Sweeter The Victory" Jaunga Dur Tak Teri Talash Me Manzil Milegi Isi Aas Me Yakin Bhi Hai Us Khuda Pe Paunga Tujhe Har Haal Me... Aasmaano Pe Chha Jaunga Har Udaan Me Dushmaano Ko Raundhunga Main Akash Me Mar Bhi Jau Toh Gham Nhi Paunga Tujhe Har Haal Me... Meri Jaan Basti Hai Jaan Tum Me Mat Rona Kabhi Mere Tum Jaane Pe Milunga Fir Kisi Janam Aur Fir Se Paunga Tujhe Har Haal Me... #Rony

Om Namah Shivaay...

Image
For Him Who Created the World And Ofcourse Me... Devon Ke Dev Mahadev...     TriKaal Darshi Prabhu Avinashi Devashya Devam Kailash Waasi Jatayam Sheetalam Chandrama Viraje Keshavam Shambhu Ganga Sadhe... Trilochanaye Trishul Asur Sangharye ShamShaane MahaKaal Bhasam Ramaye UmaPati Prabhu Vishweshwaraya BhaeBhanjan Nataraj Damru Bajaeya... Viraat Swarup AparShakti Shaali Bhaktan Ke Prabhu Sada Sahayi Neelkanth Griva Vasuki Liptaye Tandaveshwar Shiva Shristi Rachaye.... Shivasya Mahima Sadev Apara Bhole Shankar Karat Udhara Jo Let Prabhu Tumhari Sarna Azar Amar Use Kaal Ko Darna... Har Har Dev Mahadeva Nit Karat Hum Tumhari Seva Tumre Dhyan Moksha Dilaye Bhav Sagar Se Taar Karaye.. Om Namah Shivaay... #Rony

From The Diary Of Veer Zaara...My Version

Image
From The Diary Of Veer Zaara...My Version Anjaan Si Mulakaat Naa Jaane Kyu Khaas Ho Gayi Mere Farz Ki Rah Me Ye Kaisi Baat Ho Gayi Nikla Tha Bachane Main Maut Se Zindagi Uski Aur Maine Meri Saari Zindagi He Uske Naam Kar Di... # Rony

Is Baat Ki Bas Gami Hai...

Image
Love Doesn't Hurt But Loving The Wrong Person Does... Naa Chand Hai Naa Chandani Hai Har Taraf Teri He Kami Hai Kyu Hua Main Tanha Sa Is Baat Ki Bas Gami Hai... Palko Pe Ashko Ki Nami Hai Yuhi Naa Saanse Thami Hai Tere Khayalon Me He Ulja Hoon Is Baat Ki Bas Gami Hai... Mere Ulfat Ki Adhuri Kahani Hai Dard Keh Rha Jo Muh Jabaani Hai Tuta Hai Dil Yun Jazbaton me Is Baat Ki Bas Gami Hai... #Rony

Abhinandan Varthman Woh Kehlata Hai....

Image
Happy 87th IAF Day....This one is dedicated to the bravery of Wg Cdr Abhinandan Varthman Vir Chakra on his successful Mission to POK... Shaurya Ka Pradarshan Krna Janta hai Ye Har ada Aasma Ki pehchanta hai Tharrate Hai Dushman Jiske Khauf Se Abhinandan Varthman Woh Kehlata Hai.... Utkrisht Sambhavnaye Talashta hai Lakshay achuk Jo Bhedta hai Intekaam Pulwama Ka Liya Jisne Abhinandan Varthman Woh Kehlata Hai... Dushman Ki Dharti Par Bhi Nhi Ghabrata Hai Parakaram Uska Sab Keh Jata hai Shrey F-16 Ko Maarne Ka Jisko Jata hai Abhinandan Varthman Woh Kehlata Hai...   Baat Krne Ka Lahza Sab Dikhlata hai Junoon Mig-21 Udane Ka Batlata hai Vayu Sena Ka Gaurav Jo Darshata Hai Abhinandan Varthman Woh Kehlata Hai.. # Rony

Tune Mujhe Zinda Laash Bana Diya

Image
Nothing Hurt More Than Realizing He Meant Everything To You, But You Meant Nothing To Him Tere Ishq Ne Mujhe Bejaan Bana Diya Dil Ki Zameen Ko Jaise Banjar Bana Diya Bhulu Jazbat Kaise Main Woh Saare Tune Mujhe Zinda Laash Bana Diya Mulakaton Ke Daur Ne Bebas Bana Diya Apno Ko Chhod Besahara Bana Diya Umeed Ki Raah Ko Modkar Tune Mujhe Zinda Laash Bana Diya Is Haqiqat Ne Mujhe Patthar Bana Diya Kanch Se Dil Me Darar Bana Diya Bepanah Mohabat Thi Meri Tune Mujhe Zinda Laash Bana Diya # Rony

Tu Meri Har Saas Me Hai...

Image
I Fell In Love The Way You Touched My Soul... Tu Nazar Me Bhi Hai Tu Jigar Me Bhi Hai Tu He Sari Duniya Hai Meri Tu Meri Har Saas Me Hai... Tu Muskaan Bhi Hai Tu Jaan Bhi Hai Tu He Khwaish Hai Meri Tu Meri Har Saas Me Hai... Tu Mera Guroor Bhi Hai Tu Mera Suroor Bhi Hai Tu He Zindagi Hai Meri Tu Meri Har Saas Me Hai... # Rony

Musafir Main Yuhi Bhatakta Raha....

Image
I Write Only Because There Is A Voice Within Me That Will Not Be Still Kalam Uthti Gayi Main Likhta Raha Kadam Badhte Gaye Aur Main Chalta raha Manzil Meri Khafa Thi Mujhe Shayad Musafir Main Yuhi Bhatakta Raha.... Hosh Sambhala Jabse Main Sochta Raha Sitaroon Bhare Aasma Ko Dekhta Raha Banu Unme Se Ek Main Bhi Is Khwaish Me Musafir Main Yuhi Bhatakta Raha.... Raahoon Se Main Dostana Nibhata Raha Din Se Raat Main Yahi Geet Gata Raha Mukamal Hoga Ye Carvaan Is Soch Me Musafir Main Yuhi Bhatakta Raha....   # Rony

Ho Jaye Pura Jo Ye Khawab Humara

Image
When I Hold You In My Arms, I Feel Like Holding The Whole World... Kurbaan hai Tujhpe Ye Jahan Sara Ban Jaye Jo Tu Sirf Humara Palko Pe Saza Lunga Tujhe Main Sitaaron Sa Ho Jaye Pura Jo Ye Khawab Humara Muskurana Aur Unhe Sharmana hai Dil Ka yehi bas Nazrana hai Naa Chhodunga Main Kabhi Saath Tumhara Ho Jaye Pura Jo Ye Khawab Humara Tum Meri Ek Kalpana ho Dil Dekhe Jaise Koi Sapna ho Bhar Lunga Tujhe Main Bahoon me Ho Jaye Pura Jo Ye Khawab Humara # Rony

Zindagi...

Image
The Biggest Source of Motivation Are Your Own Thoughts, So Think Big And Motivate Yourself to Win ... Zindagi Me Tere Woh Bhi Mukaam Aayega Akele Khada Jab Tu Khud Ko Payega Hongi Paristhithiya Us Pal Viprit Tere Toofano Me Ghira Tu Khud Ko Payega... TO BE CONTINUED...

Ye Aasmaan

Image

Dhadkan Meri

Image
YOU MAKE MY HEART BEAT FASTER Mere Khwabaon Me Aakar Mere Dil Me Bas Jaana Bechain Hai Dil Mera  Tum Dhadkan Meri Ban Jana... #Rony To Be Continued...

Rehbar Hai Kahan..

Image
The Heart Knows The Truth... Ye Nazre Dhundhti Hai Jisko  Woh Rehbar Hai Kahan Manzile Hai Aasmaan Meri Aur Khoya Main  Jahan... Khwaishain Hongi Mukammal Meri Jo Mil Jaye Aashnna Rakhunga Tere Kadmo Me Main Apne Do Jahan... #Rony

Woh Tanhai Laut Aayi Hai

Image
YOU WILL NEVER KNOW THE TRUE VALUE OF A MOMENT UNTIL IT BECOMES A MEMORY Khamoshi Ki Chadar Odhe Fir Dabe Paav Chali Aayi Hai Mehrum Thi Ye Zindagi Jisse Woh Tanhai Laut Aayi Hai Ashko Me Samete Har Khawab Ruswai Ki Bas Rut Chhai Hai Hasrat Naa Thi Jiski Hume Woh Tanhai Laut Aayi Hai Rishtoon ke Bandhano Ne Saza-e-Karam Mukhtalif Karai Hai Roobaroo Naa Tha Ye Dil Jisse Woh Tanhai Laut Aayi Hai #Rony

Hai Jab Hum Sanam Sirf Tumhare...

Image
"Dont Believe Everything You Hear.There are Always Three Sides To A Story , Yours, Theirs And The Truth..." Kaise Kahu Ki Tu Naa Jaane Ishaare Nadiya Ho Tum Aur Hum Toh Hai Kinaare Dooriyaan Kyu Aayi Fir Darmiyaan Humare Hai Jab Hum Sanam Sirf Tumhare... Ulfat Meri Aashiqui Ki Adaa Hai Bani Kyu Berukhi Teri Ek Saza Hai Iraado Pe Yakin Tumhe Kyu Nhi Hai Humare Hai Jab Hum Sanam Sirf Tumhare... Ibadat-E-Ishq Ka Mere Yeh Shayad Imtihan Hai Mere Jazbatoon Par Uthe Jo Sawaliyaan Nishaan Hai Chandani Se Kyu Mehrum Hai Aaj Sitaare Hai Jab Hum Sanam Sirf Tumhare... # Rony

Ke Aaoge Fir Se Laut Ke...

Image
ON INDEPENDENCE DAY Written By Deepika Rawat & Edited By Rony Srivastava Chhoti Si Thi Main Jab Chale Gaye The Yuh Chhod Kar Ke Vada Nanhe Haathon Se Ke Aaoge Fir Se Laut Ke... Bachpan Sara Nikla Yuhi Khud Ko He Sambhal Ke Zinda Thi Umeed Fir Bhi Ke Aaoge Fir Se Laut Ke... Naa Aaye Kabhi Fir Wapis Un Galiyon Un Chaubaron Mein Reh Gayi Bas Yaadein Baki Ke Aaoge Fir Se Laut Ke... Tha Unhe Pyaara Tiranga Badh Ke Bachi Ke Moh Se De Gaye Tabhi Vishwas Dil ko Ke Aaoge Fir Se Laut Ke... Hue Main Jab Badi Toh Ye Jaana Kya Hai Dharti Ke Liye Fanna Ho Jaana Samjhi Tab Main Jazbaat Unke Ke Kyu Naa Aaye Woh Fir Laut Ke... ‪#‎ Deepika‬ - ‪#‎ Rony‬